Dhul mein mile khaakh mein
Dariya mein mile raakh mein
Kya dhoondh paoge mujhe?
Na he mai khud ko samet paunga
Ek din aise he sabko khona hai
Fir aaj kiska rona hai
Kya samet rahe ho tum
Jo le jaoge
Inderjaal ke saikro mein do panktiya
Kala (art) ke dher mein chitrakariya
Kya dhoondh paoge?
Kala ka koi hafan nahi
Sirf hai dista dista
Jab tak tum ho, tab tak ka rishta
Zindagi mein zindagi pe
Marham youn karo koi
Ke yaad ke samundar mein
Moti jaise pade ho kahin
Dhoond shayad fir bhi na payega koi
Par dhoondhne ki koshish bani rahe
Intni si zindagi mein
Bas itna he kar lije
Muskurahat ki wajah na ban sako
Magar, askho ke Karan bhi,
tum na ho kahi
Pronil sengupta
22 Feb 24
No comments:
Post a Comment